Thursday, 22 September 2011

wah kya sher hai.....


Shahen Shah Miyan
ae aasmaan meri zameen par tu aa kar dekh
mai jis makaam par hou  waha muskuara kar dekh
hatho ki yeh lakkeere to mit sakti hai magar
likha hai jo naseeb mai wo mita kar dekh 



Poet by : Shahen shah Miyan 

Muhabbat karane vaale kam na honge

terii mehfil mein lekin ham na honge

Pro.waseem bareilvi
Poet By:   Hafeez Hoshiarpuri




usoolo par agar aanch aaye to takrana zaroori hai,
agar ho zinda to zinda nazar aana zaroori hai




Poet By : Pro. waseem bareilvi







Dr.Nawaaz deobandi


Anjaam uske haath hai aaghaz karke dekho.
Bheege hue paron se hi parwaaz karke dekho





Poet By: Dr.Nawaaz Deobandi




                                                                                       

Amjad Islam Amjad


Chehare pe mere zulf ko bikhraao kisii din 
 kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din 



 Poet By:  Amjad IslamAmjad



har kisii se maangate hain ye vafaaon kaa saboot 
bevafaa jab se vafaadaaron ke maalik ho gaye 

  Poet By : Manzar Bhopali


Kaif Bhopali
kaise maane ke unhen bhool gayaa tuu ai kaif 
un ke Khat aaj hamen tere sarahaane se mile 

Poet By: Kaif Bhopali







Dr.Basheer Badar
ujaale apanii yaado.n ke hamaare saath rahane do 
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaaye 
Poet By: Dr. Bashir Badr
 

hamein bhi doston se kaam aa padaa yaani
hamaare doston ke bevafaa hone kaa waqt aayaa  
Poet By: Hari Chand Akhtar
Mirza Galib
mujh tak kab un kii bazm men aataa thaa daur-e-jaam 
saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab men 
Poet By: Mirza Galib



Huyi Muddat Ke Ghalib Mar Gaya Par Yaad Aata Hai”
“Woh Har Ek Baat Par Kahna, Ke Yu Hota To Kya Hota



Poet By : Mirza Galib


Hazaaron Khwahishein Aisee Ke Har Khwahish Pe Dam Nikley”
”Bahut Nikle Mere Armaan Lekin Phir Bhi Kam Nikle



Poet By: Mirza Gali

terii tasviir se karataa thaa baate.n 
mere ghar me.n aa_iinaa nahii.n thaa 


Poet By:Maja
Mazhab alag zabaan alag, jisam o jaan alag,
dil ek hai magar mere hindustan ka.


Poet By:  Moazzam ali moazzam


jise hamari mohabbat hamara gum hoga,
wahi hamare liye sab se mohatram hoga.


Poet BY: J.Rasheed

Mujhe tumse koi shikwa nahi hai, 
bahut din ho gaye roya nahi tha.

Poet By : Ateeq Ullah 


us par tabdeeli mousam ka asar khuch bhi  nahi
kal bhi wo sang tha aur aaj bhi pathar nikla 


Poet by: saeed nomani














No comments:

Post a Comment