Imran Pratapgarhi
Danga Fasad Par imran pratapgarhi ki Nazm Zile ko kiski lagi Nazar
Zile ko kiski lagi nazar, zile ko kiski lagi nazar
Nafrat ke sholo se jhulse haien deewar-o-dar.
jis mitti ka pyaar ka nagma har honth par palta tha
yahi wo mitti hai k me gutno ke bal chalta tha
jisko bikhari das ne apne gheeto se mehkaya tha,
maulana ahmed ki dua ka jis ke sar par saya tha.
jis mitti par kabhi tiranga huwa nahi sharminda
92 me bi jahna par aman bacha tha zinda ,
usi zameen par usi zameen par aaj police khud jalwati hai ghar,
zile ko kiski lagi nazar, zile ko kiski lagi nazar,
jise niyaz hasan ne apne khon se pala posa tha,
jiski yakjehti pe munishwar dutt ko bada barosa tha,
Raja Dinesh ke khuwabo ki tabeer tha mera janpad
Raja ajeet ke sapno ki tasveer tha mera janpad,
jahna kabhi aadhya prasad unmukt huye gate the
jis mitti par rahte huye nazish bhi khud itrate the
dar hai kahi dar hai kahi yeh mitti ho na jaye banjar.
zile ko kiski lagi nazar, zile ko kiski lagi nazar

jabki siyasat maang rahi thi suwach cchavi ka nayak
tab mere birha ne diya hai ek aadarsh vidayak
jago hindu jago muslim jago sikh isayi
sab hai siyasat ke hatkande samjho mere bhai
chahat ka jo bana hai wo silsala bacha lo yaro,
hindu muslim milkar mera zila bacha lo yaro.
aasteen me aasteen me kasam hai lekar mat phiro khanjar,
zile ko kiski lagi nazar, zile ko kiski nazar